Pehli Dafa Song Lyrics - ATIF ASLAM Lyrics | Ileana D’Cruz | Latest Hindi Song

Pehli Dafa Song - ATIF ASLAM Lyrics

Pehli Dafa Lyrics (Singles): The song is sung by Atif Aslam, composed by Shiraz Uppal and lyrics are written by Shakkel Sohail.


Singer

ATIF ASLAM
Music SHIRAZ UPPAL
Song Writer SHAKEEL SOHAIL

Dil kahe kahaaniyan pehli dafa
Armaano mein rawaniyan pehli dafa..
Ho gaya begana main hosh se, pehli dafa
Pyaar ko pehchana ehsaas hai yeh naya..

Suna hai, suna hai..
Yeh rasmein wafa hai..
Jo dil pe nasha hai..
Woh pehli dafa hai.. (x2)

Kabhi dard si
Kabhi zard si
Zindagi benaam thi

Kahi chaahtein hui meherbaan
Hath badke thaamti
Ek woh nazar
Ek woh nigah
Rooh mein shamil iss tarah

Ban gaya afsaana ek baat se pehli dafa
Paa liya hai thikaana baahon ki hai panaah

Suna hai suna hai..
Yeh rasmein wafa hai..
Jo dil pe nasha hai..
Woh pehli dafa hai..

Lage bewajah alfas jo
Woh zarurat ho gaye
Taqdeer ke kuch faisley
Jo ganimat ho gaye

Badla hua har pal hai
Rehti khumari har jagah
Pyaar tha anjaana
Hua saath mein pehli dafa

Yeh asar ab jaana
Kya rang hai yeh chadha

Suna hai suna hai
Yeh rasmein wafa hai
Jo dil pe nasha hai
Woh pehli dafa hai (x2)




Post a Comment

0 Comments